kuch pal bacha kar bheed se
ek khwab bun raha hoon main
mujhe faslon ka darr nahi
tu humesha mere paas hai
tu yakeen kar is baat ka
teri aawaz sun raha hoon main
kuch pal bacha kar bheed se
ek khwab bun raha hoon main
na chand ki thi arzoo
na jahan ka talabgaar tha
kafi hai yahi ki tere shahar se
kuchh rishte chun raha hoon main
kuch pal bacha kar bheed se
ek khwab bun raha hoon main
jo dariya hai ik aag ka
hum usi safar ke hain humsafar
jis aag mein hai tu jal rahi
usi aag mein bhun raha hoon main
kuch pal bacha kar bheed se
ek khwab bun raha hoon main
24/02/08
No comments:
Post a Comment