na koi khwab, n wafa na sine mein dil dhadkta hai
kyon kisi lash ko jeene ki saza milta hai
koi patharo ki tarah pesh aaye samjh aati hai
ye kaisa mom hai jo na kabhi pighlta hai
dil to achhi tarah wakif tha dil ki galiyon se
ye woh bazaar hai jahan sirf dard bikta hai
main bhool jata hoon har bar sajane se pahle
ki diwar o dar bina tasweer kahan tikta hai
woh badguman hai, sitamgar hai tagaful bhi hai
kuchh to aur bhi hai jo uska mera ristha hai
Friday, December 3, 2010
No comments:
Post a Comment