Wednesday, January 5, 2011

kitna fark hai

tumne jab bhi mere chehre ko
padhna chaha
ek khuli kitab ki tarah padha
aur maine jab bhi tumhen
samjhne ki koshish ki
tumne mukhoto ka sahara liya
kitna fark hai humare chehron mein

jab kabhi humare beech
bewajah bahsen hui
tumhen mujhe harakar
khushi milti
aur mujhe tumhen jitata dekh kar
kitna fark hai
humare khush hone ke andaz mein

ab tak jitne safar
tay kiye humne
tumne majboori samjhkar
saath diya
aur maine kismat samjh kar
kitna fark hai
humein ek dusre ko samjhne mein

humne har say mein
tumhari kami mahshoosh ki
aur tumhen
kabhi humari kami
mahshoosh hi nahi hui
kitna fark hai
humare ahsashon mein

us din se aaj talak
tumhari pooja ki
aur tumhen hasil karna chaha
hasil to tumne bhi
karna chaha
par mujhe nahi mere sharir ko
kitna fark hai
humare chahto mein

shailesh, mere yaar
qabul kuch farkon ko
kiya ja sakta hai
par tum mein sirf fark hi fark hai
phir bhi main tumhen chahta hoon
aur taumar chahunga
ye mat puchna, kyun?
shayad,
isi ko pyar kahte ho
pyar karne wale to
fakat ek katre mein
zindgi ka maja dhoondh lete hain
aur mere liye woh katra
tum ho
aur tum mein, dhoondhna chahta hoon
main apne aapko

mere liye pyar
pyar hai
koi chinese dish nahi
jiska jayka
achha na lagne par
badal doon

par tumhare liye toh pyar
fast food ki dukan par
khane ka order dene jaisa hai
kitna fark hai
humare pyar mein.

04/05/2001

Monday, January 3, 2011

tum kaisi ho ye khat likhna

bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna
main kaisa hoon ye mat likhna, tum kaisi ho ye khat likhna

mujhe mere hi khat mein, kabhi shayar kabhi pagal
kabhi ranjha, kabhi humdum, to kabhi kambakht likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

jaruri ye nahi wajah ho kuchh khash likhne ki
chaho to mujhe har khat bewajah aur bewaqt likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

kaisa hai woh ab mandir, woh gali ka mod kaisa hai
jahan se dekhti thi tum, kaisa hai woh chhat likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

bahoot kamzor pad jaunga kyun itna chahti ho tum
jo khat likhna jarur usmein, mujhe do-char shikayat likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

main kitna yaad karta hoon abhi chodo is baat ko
main kab-kab yaad aata hoon, tum sare woh waqt likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

baatein woh sab likhna jo tum mahshoosh karti ho
agar pad jaye lafz kam to bhi baatein bahut likhna
bahut tum yaad aati ho, tum kaisi ho ye khat likhna...

28/03/2001